tir kis aan-ban se nikla
tiir kis ān-bān se niklā
vo jo un kī kamān se niklā
tīrgī ne zamīñ se hijrat kī
nuur jab āsmān se niklā
qaid gul-dān meñ huā āḳhir
phuul jo gulsitān se niklā
dhuup apnī luTā ke kal sūraj
aaj phir puurī shaan se niklā
kaun īmān-dār hai 'abbād'
ye lab-e-be-īmān se niklā
tir kis aan-ban se nikla
wo jo un ki kaman se nikla
tirgi ne zamin se hijrat ki
nur jab aasman se nikla
qaid gul-dan mein hua aaKHir
phul jo gulsitan se nikla
dhup apni luTa ke kal suraj
aaj phir puri shan se nikla
kaun iman-dar hai 'abbaad'
ye lab-e-be-iman se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.