tir nikla kaman se aaKHir
tiir niklā kamān se āḳhir
ham ga.e apnī jaan se āḳhir
pastiyoñ ne sila diyā aisā
jā mile āsmān se āḳhir
maqtal-e-zīst meñ ba-faiz-e-junūñ
ham mare ān-bān se āḳhir
jiite marte guzar ga.e ham bhī
manzil-e-imtihān se āḳhir
apne begāne be-sabab ai 'josh'
ho ga.e bad-gumān se āḳhir
tir nikla kaman se aaKHir
hum gae apni jaan se aaKHir
pastiyon ne sila diya aisa
ja mile aasman se aaKHir
maqtal-e-zist mein ba-faiz-e-junun
hum mare aan-ban se aaKHir
jite marte guzar gae hum bhi
manzil-e-imtihan se aaKHir
apne begane be-sabab ai 'josh'
ho gae bad-guman se aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.