tir o kaman, KHanjar o talwar ban gae
tiir o kamān, ḳhanjar o talvār ban ga.e
dushman milā to haath bhī hathiyār ban ga.e
lafzoñ ke kaise kaise ma.ānī badal ga.e
kirdār-kush bhī sāhab-e-kirdār ban ga.e
jab se koī usūl-e-tijārat nahīñ rahā
bāzriyoñ ke naam pe bāzār ban ga.e
qadġhan ke bāvajūd kahāñ aa gayā huuñ maiñ
darvāze mere sāmne dīvār ban ga.e
us kī zabāñ pe harf the unvān kī tarah
afsāne saikḌoñ pas-e-iz.hār ban ga.e
is qāfile meñ gard barābar thī jin kī zaat
vāpas hue to qāfila-sālār ban ga.e
ḳhat khīñchte hue koī bachcha baḌā huā
kal ke ḳhutūt aaj ke shāhkār ban ga.e
tir o kaman, KHanjar o talwar ban gae
dushman mila to hath bhi hathiyar ban gae
lafzon ke kaise kaise maani badal gae
kirdar-kush bhi sahab-e-kirdar ban gae
jab se koi usul-e-tijarat nahin raha
bazriyon ke nam pe bazar ban gae
qadghan ke bawajud kahan aa gaya hun main
darwaze mere samne diwar ban gae
us ki zaban pe harf the unwan ki tarah
afsane saikDon pas-e-izhaar ban gae
is qafile mein gard barabar thi jin ki zat
wapas hue to qafila-salar ban gae
KHat khinchte hue koi bachcha baDa hua
kal ke KHutut aaj ke shahkar ban gae
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 11.11.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.