tir tarkash kaman baqi hai
tiir tarkash kamān baaqī hai
hausloñ meñ uḌaan baaqī hai
jism meñ thoḌī jaan baaqī hai
āḳhirī imtihān baaqī hai
ḳhauf khātī hai pyaas paanī se
baaḌh kā ik nishān baaqī hai
narm bistar ke ham kahāñ 'aadī
oḌhne ko thakān baaqī hai
fail duniyā meñ ham kabhī na hue
ghar meñ ik imtihān baaqī hai
khet 'arshad' vafā ke suukh chuke
'āshiqī kā lagān baaqī hai
tir tarkash kaman baqi hai
hauslon mein uDan baqi hai
jism mein thoDi jaan baqi hai
aaKHiri imtihan baqi hai
KHauf khati hai pyas pani se
baDh ka ek nishan baqi hai
narm bistar ke hum kahan 'adi
oDhne ko thakan baqi hai
fail duniya mein hum kabhi na hue
ghar mein ek imtihan baqi hai
khet 'arshad' wafa ke sukh chuke
'ashiqi ka lagan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.