tir wo tir nahin jo na jigar tak pahunche
tiir vo tiir nahīñ jo na jigar tak pahuñche
teġh vo teġh nahīñ hai jo na sar tak pahuñche
vo duā kyā hai duā jo na asar tak pahuñche
jalva vo jalva hai kyā jo na nazar tak pahuñche
luT ga.ī hosh kī duniyā tire dīvānoñ kī
khul ke gesū jo tire terī kamar tak pahuñche
jazb-e-kāmil ho to ho jaa.e nazāra āsāñ
chashm-e-dil vā ho to jalva bhī nazar tak pahuñche
qaid meñ rakh ke bhī ai vaa.e tasallī na huī
haath sayyād ke mujh zaar ke par tak pahuñche
ye umaḌtā huā sailāb abhī ruk jaa.e
terā dāman jo mire dīda-e-tar tak pahuñche
phir nigāhoñ meñ koī apnī burā hī na rahe
aadmī apne agar aib-o-hunar tak pahuñche
zindagī ishq meñ miltī hai miTā kar ḳhud ko
daana jab ḳhaak meñ mil jaa.e samar tak pahuñche
qurb sāhil kā unheñ hogā na 'jauhar' hāsil
jo safīne na abhī mauj bhañvar tak pahuñche
tir wo tir nahin jo na jigar tak pahunche
tegh wo tegh nahin hai jo na sar tak pahunche
wo dua kya hai dua jo na asar tak pahunche
jalwa wo jalwa hai kya jo na nazar tak pahunche
luT gai hosh ki duniya tere diwanon ki
khul ke gesu jo tere teri kamar tak pahunche
jazb-e-kaamil ho to ho jae nazara aasan
chashm-e-dil wa ho to jalwa bhi nazar tak pahunche
qaid mein rakh ke bhi ai wae tasalli na hui
hath sayyaad ke mujh zar ke par tak pahunche
ye umaDta hua sailab abhi ruk jae
tera daman jo mere dida-e-tar tak pahunche
phir nigahon mein koi apni bura hi na rahe
aadmi apne agar aib-o-hunar tak pahunche
zindagi ishq mein milti hai miTa kar KHud ko
dana jab KHak mein mil jae samar tak pahunche
qurb sahil ka unhen hoga na 'jauhar' hasil
jo safine na abhi mauj bhanwar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.