tira-baKHti ki baat chalti rahi
tīra-baḳhtī kī baat chaltī rahī
sub.h ke saath raat chaltī rahī
saañs siine meñ mere ghuTtī rahī
dāstān-e-hayāt chaltī rahī
'umr-bhar daav maiñ lagātā rahā
'umr-bhar merī maat chaltī rahī
din kisī tarh se guzarte rahe
zindagī be-sabāt chaltī rahī
sach to ye hai chalī to hai lekin
bas kisī Dhab hayāt chaltī rahī
bhuuk se koī mar rahā thā 'jamāl'
aur ye kā.enāt chaltī rahī
tira-baKHti ki baat chalti rahi
subh ke sath raat chalti rahi
sans sine mein mere ghuTti rahi
dastan-e-hayat chalti rahi
'umr-bhar daw main lagata raha
'umr-bhar meri mat chalti rahi
din kisi tarh se guzarte rahe
zindagi be-sabaat chalti rahi
sach to ye hai chali to hai lekin
bas kisi Dhab hayat chalti rahi
bhuk se koi mar raha tha 'jamal'
aur ye kaenat chalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.