Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tira-baKHti na gai soKHta-samanon ki

Sahba lakhnavi

tira-baKHti na gai soKHta-samanon ki

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    tīra-baḳhtī na ga.ī soḳhta-sāmānoñ

    ḳhaak raushan na huī sham.a se parvānoñ

    chāhte haiñ na rahe hosh meñ apne koī

    kitnī ma.asūm zideñ haiñ tire dīvānoñ

    shīsha-e-dil se koī barq taḌap kar niklī

    jab paḌī choT chhalakte hue paimānoñ

    nigah-e-mast se Takrāte rahe shīsha-e-dil

    ḳhuub chaltī rahī dīvānoñ se dīvānoñ

    mast-e-sahbā-e-mohabbat hai azal se 'sahbā'

    is ko shīshe zarūrat hai na paimānoñ

    tira-baKHti na gai soKHta-samanon ki

    KHak raushan na hui shama se parwanon ki

    chahte hain na rahe hosh mein apne koi

    kitni masum ziden hain tere diwanon ki

    shisha-e-dil se koi barq taDap kar nikli

    jab paDi choT chhalakte hue paimanon ki

    nigah-e-mast se Takraate rahe shisha-e-dil

    KHub chalti rahi diwanon se diwanon ki

    mast-e-sahba-e-mohabbat hai azal se 'sahba'

    is ko shishe ki zarurat hai na paimanon ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now