tira-shabi ko nur mayassar na ho saka
tīra-shabī ko nuur mayassar na ho sakā
merā charāġh māh-e-munavvar na ho sakā
tum bhī to mere ishq kī zīnat na ban sake
maiñ bhī tumhāre husn kā zevar na ho sakā
rakh dī hai maiñ ne jism kī rag rag nichoḌ kar
lekin vo merī zaat se bāhar na ho sakā
pahlū meñ nāz-o-ishva-e-mahvash to hai magar
ai yād-e-raftagāñ tirā ham-sar na ho sakā
ik ālam-e-nashāt mirī dastaras meñ hai
lekin vo ek shaḳhs mayassar na ho sakā
tira-shabi ko nur mayassar na ho saka
mera charagh mah-e-munawwar na ho saka
tum bhi to mere ishq ki zinat na ban sake
main bhi tumhaare husn ka zewar na ho saka
rakh di hai main ne jism ki rag rag nichoD kar
lekin wo meri zat se bahar na ho saka
pahlu mein naz-o-ishwa-e-mahwash to hai magar
ai yaad-e-raftagan tera ham-sar na ho saka
ek aalam-e-nashat meri dastaras mein hai
lekin wo ek shaKHs mayassar na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.