tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi
tīrgī ho ki ho tanvīr lahū māñgegī
har na.e daur kī ta.amīr lahū māñgegī
is se achchhā hai ki ḳhvāboñ kā bharosa na karo
ḳhvāb dekhoge to ta.abīr lahū māñgegī
dasht-e-vahshat meñ to us vaqt mazā aa.egā
jab mire paañv kī zanjīr lahū māñgegī
tum mire sāmne ab jang kī bāteñ na karo
nyaam se niklī to shamshīr lahū māñgegī
maiñ ye hī sochtā rahtā huuñ shab-o-roz 'aḳhtar'
kab talak vādī-e-kashmīr lahu māñgegī
tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi
har nae daur ki tamir lahu mangegi
is se achchha hai ki KHwabon ka bharosa na karo
KHwab dekhoge to tabir lahu mangegi
dasht-e-wahshat mein to us waqt maza aaega
jab mere panw ki zanjir lahu mangegi
tum mere samne ab jang ki baaten na karo
nyam se nikli to shamshir lahu mangegi
main ye hi sochta rahta hun shab-o-roz 'aKHtar'
kab talak wadi-e-kashmir lahu mangegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.