tirgi mein jal uThna chandni mein kho jaana
tīrgī meñ jal uThnā chāñdnī meñ kho jaanā
kis tarah huā mumkin pāniyoñ pe so jaanā
umr-bhar kī chāhat kā ek hī sila paayā
dard ne hameñ samjhā ham ne dard ko jaanā
ek rañg apnā hai rāt-rut kī chhāñv meñ
chāñdnī bhī aa.egī tum bhī aa ke ro jaanā
bādaloñ ke saa.e meñ ye to un kī aadat hai
jis ke sar pe sūraj ho us ke saath ho jaanā
tirgi mein jal uThna chandni mein kho jaana
kis tarah hua mumkin paniyon pe so jaana
umr-bhar ki chahat ka ek hi sila paya
dard ne hamein samjha hum ne dard ko jaana
ek rang apna hai raat-rut ki chhanw mein
chandni bhi aaegi tum bhi aa ke ro jaana
baadalon ke sae mein ye to un ki aadat hai
jis ke sar pe suraj ho us ke sath ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.