tirgi raushni se sharminda
tīrgī raushnī se sharminda
aadmī aadmī se sharminda
aap kyoñ haiñ abhī se sharminda
soch kar an-kahī se sharminda
zikr-e-ehsāñ huā jo bātoñ meñ
merā mohsin mujhī se sharminda
sabz peḌoñ ke biich ik paudā
be-samar bekalī se sharminda
huuñ saḳhī hātimoñ kī bastī meñ
apnī bad-qismatī se sharminda
merī hastī charāġh kī battī
apnī kam-mā.egī se sharminda
den 'muḳhlis' ko hai 'musavvir' kī
kyoñ rahe vo kisī se sharminda
tirgi raushni se sharminda
aadmi aadmi se sharminda
aap kyon hain abhi se sharminda
soch kar an-kahi se sharminda
zikr-e-ehsan hua jo baaton mein
mera mohsin mujhi se sharminda
sabz peDon ke bich ek pauda
be-samar bekali se sharminda
hun saKHi hatimon ki basti mein
apni bad-qismati se sharminda
meri hasti charagh ki batti
apni kam-maegi se sharminda
den 'muKHlis' ko hai 'musawwir' ki
kyon rahe wo kisi se sharminda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.