tirgi se raushni ka ho gaya
tīrgī se raushnī kā ho gayā
maiñ mukammal shā.erī kā ho gayā
der tak bhaTkā maiñ us ke shahr meñ
aur phir us kī galī kā ho gayā
so gayā āñkhoñ tale rakh ke unheñ
aur ḳhat kā rañg phīkā ho gayā
ek bosa hī diyā thā raat ne
chāñd tū to raat hī kā ho gayā
raat bhar laḌtā rahā lahroñ ke saath
sub.h tak 'kānhā' nadī kā ho gayā
tirgi se raushni ka ho gaya
main mukammal shaeri ka ho gaya
der tak bhaTka main us ke shahr mein
aur phir us ki gali ka ho gaya
so gaya aankhon tale rakh ke unhen
aur KHat ka rang phika ho gaya
ek bosa hi diya tha raat ne
chand tu to raat hi ka ho gaya
raat bhar laDta raha lahron ke sath
subh tak 'kanha' nadi ka ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.