Tis ek uTThe badan mein jwar palna chahiye
Tiis ik uTThe badan meñ jvaar palnā chāhiye
aap ke siine meñ ik sañgrām chalnā chāhiye
ham banā.eñge dobāra sone kī chiḌiyā ise
is na.ī ummīd kā sūraj nikalnā chāhiye
ai siyāsat ho mubārak tū ne ye batlā diyā
bhaa.ī ko bhaa.ī se kaise duur chalnā chāhiye
kyā kahā tum ne tumheñ ye rañg bhāyā hī nahīñ
tum musavvir ho tumheñ har rañg phalnā chāhiye
thī shahīdān-e-vatan kī ik zarā sī aarzū
aur vo thī desh ko aage nikalnā chāhiye
ab to lagtā hai ki ham ne koshisheñ be-kār kiiñ
apnī zid ye thī ki har sāñche meñ Dhalnā chāhiye
phir vahī pāchak kī golī ber vo jāmun ke din
kyā tumheñ lagtā nahīñ bachpan meñ chalnā chāhiye
ik diyā ho jis meñ ilm-o-dīñ hunar kā tel ho
ho charāġh aisā to phir ghar ghar meñ jalnā chāhiye
Tis ek uTThe badan mein jwar palna chahiye
aap ke sine mein ek sangram chalna chahiye
hum banaenge dobara sone ki chiDiya ise
is nai ummid ka suraj nikalna chahiye
ai siyasat ho mubarak tu ne ye batla diya
bhai ko bhai se kaise dur chalna chahiye
kya kaha tum ne tumhein ye rang bhaya hi nahin
tum musawwir ho tumhein har rang phalna chahiye
thi shahidan-e-watan ki ek zara si aarzu
aur wo thi desh ko aage nikalna chahiye
ab to lagta hai ki hum ne koshishen be-kar kin
apni zid ye thi ki har sanche mein Dhalna chahiye
phir wahi pachak ki goli ber wo jamun ke din
kya tumhein lagta nahin bachpan mein chalna chahiye
ek diya ho jis mein ilm-o-din hunar ka tel ho
ho charagh aisa to phir ghar ghar mein jalna chahiye
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.