tilism-e-dahr ke parde TaTolta kaise
tilism-e-dahr ke parde TaToltā kaise
maiñ aadmī thā tire raaz kholtā kaise
maiñ kaise dard chhupātā hañsī ke parde meñ
vo aa.ina thā to jhuuT us se boltā kaise
tamām jism to pathrā diyā thā mausam ne
maiñ apne aap ko phūloñ meñ toltā kaise
bañdhī thī Dor muqaddar ke haath se mere
kaTī patang sā āzād Doltā kaise
'nazīr' kaise Thahartā maiñ sā.ebānoñ meñ
thakan kā zahr irādoñ meñ gholtā kaise
tilism-e-dahr ke parde TaTolta kaise
main aadmi tha tere raaz kholta kaise
main kaise dard chhupata hansi ke parde mein
wo aaina tha to jhuT us se bolta kaise
tamam jism to pathra diya tha mausam ne
main apne aap ko phulon mein tolta kaise
bandhi thi Dor muqaddar ke hath se mere
kaTi patang sa aazad Dolta kaise
'nazir' kaise Thaharta main saebanon mein
thakan ka zahr iradon mein gholta kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.