tilism-e-hosh-ruba hai kamal rakhta hai
tilism-e-hosh-rubā hai kamāl rakhtā hai
badan se ishq na karnā zavāl rakhtā hai
kahīñ kā rahne na degā hameñ ye zehn-e-rasā
javāb jin ke nahīñ vo savāl rakhtā hai
ḳhirad se thak ke ham aate haiñ dil ke dāman meñ
ye ġham-gusār hamārā ḳhayāl rakhtā hai
girā hai apnī hī nazroñ meñ jaane kitnī baar
vahī jo aaj urūj-o-kamāl rakhtā hai
subūt-e-zinda-dilī hai ḳhudā kā shukr 'ārif'
ye dil jo ab bhī umīd-e-visāl rakhtā hai
tilism-e-hosh-ruba hai kamal rakhta hai
badan se ishq na karna zawal rakhta hai
kahin ka rahne na dega hamein ye zehn-e-rasa
jawab jin ke nahin wo sawal rakhta hai
KHirad se thak ke hum aate hain dil ke daman mein
ye gham-gusar hamara KHayal rakhta hai
gira hai apni hi nazron mein jaane kitni bar
wahi jo aaj uruj-o-kamal rakhta hai
subut-e-zinda-dili hai KHuda ka shukr 'arif'
ye dil jo ab bhi umid-e-visal rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.