tilism-e-ishq tha sab is ka sat hone tak
tilism-e-ishq thā sab is kā saat hone tak
ḳhayāl-e-dard na aayā najāt hone tak
milā thā hijr ke raste meñ sub.h kī mānind
bichhaḌ gayā thā musāfir se raat hone tak
ajiib rang badaltī hai us kī nagrī bhī
har ek nahr ko dekhā furāt hone tak
vo is kamāl se khelā thā ishq kī baazī
maiñ apnī fat.h samajhtā thā maat hone tak
hai isti.āra ġhazal us se baat karne kā
yahī vasīla hai ab us se baat hone tak
maiñ us ko bhūlnā chāhūñ to kyā karūñ 'ādil'
jo mujh meñ zinda hai ḳhud merī zaat hone tak
tilism-e-ishq tha sab is ka sat hone tak
KHayal-e-dard na aaya najat hone tak
mila tha hijr ke raste mein subh ki manind
bichhaD gaya tha musafir se raat hone tak
ajib rang badalti hai us ki nagri bhi
har ek nahr ko dekha furaat hone tak
wo is kamal se khela tha ishq ki bazi
main apni fath samajhta tha mat hone tak
hai istiara ghazal us se baat karne ka
yahi wasila hai ab us se baat hone tak
main us ko bhulna chahun to kya karun 'adil'
jo mujh mein zinda hai KHud meri zat hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.