tilism-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl tak thā
mirā yaqīñ ehtimāl tak thā
ajiib thā dard-e-nā-rasā.ī
sadā-ba-sahrā savāl tak thā
charāġh āñkhoñ meñ jal rahe the
sukūt shām-e-malāl tak thā
dayār-e-shab kā udaas manzar
tulū-e-husn-e-zavāl tak thā
tabassum-e-dil-navāz bhī ai 'nāz'
lab-e-gul-e-pā.emāl tak thā
tilism-e-KHwab-o-KHayal tak tha
mera yaqin ehtimal tak tha
ajib tha dard-e-na-rasai
sada-ba-sahra sawal tak tha
charagh aankhon mein jal rahe the
sukut sham-e-malal tak tha
dayar-e-shab ka udas manzar
tulu-e-husn-e-zawal tak tha
tabassum-e-dil-nawaz bhi ai 'naz'
lab-e-gul-e-paemal tak tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.