tilism-e-KHwab se mera badan patthar nahin hota
tilism-e-ḳhvāb se merā badan patthar nahīñ hotā
mirī jab aañkh khultī hai maiñ bistar par nahīñ hotā
yaqīñ aatā nahīñ to mujh ko yā mahtāb ko dekho
ki raat us kī bhī kaT jaatī hai jis kā ghar nahīñ hotā
jidhar dekhūñ udhar hī dekhtā rahtā huuñ pahroñ tak
mujhe atrāf kā ḳhālī varaq azbar nahīñ hotā
khajūreñ aur paanī le ke aage baḌhtā jaatā huuñ
magar ye koh-e-imkāñ hai ki mujh se sar nahīñ hotā
kam-az-kam mujh se duniyā ko shikāyat to nahīñ hogī
maiñ is jaisā hī ban jā.ūñ agar behtar nahīñ hotā
javāz apnā banātā huuñ kisī nādīda ḳhitte meñ
jahāñ merī zarūrat ho vahāñ aksar nahīñ hotā
bahātā huuñ kahīñ apne sifāl-e-be-murkkab ko
maiñ girye ke dinoñ meñ chāk-e-duniyā par nahīñ hotā
gilā to ḳhair kyā hogā bas itnā tum se kahnā hai
tumhārī umr meñ koī sitam-parvar nahīñ hotā
to phir yuuñ hai ki maiñ ne us ko chāhā hī nahīñ 'tābish'
agar us kī shabāhat kā gumāñ mujh par nahīñ hotā
tilism-e-KHwab se mera badan patthar nahin hota
meri jab aankh khulti hai main bistar par nahin hota
yaqin aata nahin to mujh ko ya mahtab ko dekho
ki raat us ki bhi kaT jati hai jis ka ghar nahin hota
jidhar dekhun udhar hi dekhta rahta hun pahron tak
mujhe atraf ka KHali waraq azbar nahin hota
khajuren aur pani le ke aage baDhta jata hun
magar ye koh-e-imkan hai ki mujh se sar nahin hota
kam-az-kam mujh se duniya ko shikayat to nahin hogi
main is jaisa hi ban jaun agar behtar nahin hota
jawaz apna banata hun kisi nadida KHitte mein
jahan meri zarurat ho wahan aksar nahin hota
bahata hun kahin apne sifal-e-be-murkkab ko
main girye ke dinon mein chaak-e-duniya par nahin hota
gila to KHair kya hoga bas itna tum se kahna hai
tumhaari umr mein koi sitam-parwar nahin hota
to phir yun hai ki main ne us ko chaha hi nahin 'tabish'
agar us ki shabahat ka guman mujh par nahin hota
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 56)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.