tilism-e-koh-e-nida jab bhi TuT jaega
tilism-e-koh-e-nidā jab bhī TuuT jā.egā
to kārvān-e-sadā bhī palaT ke aa.egā
khiñchī raheñgī saroñ par agar ye talvāreñ
matā-e-zīst kā ehsās baḌhtā jā.egā
havā.eñ le ke uḌeñgī to barg-e-āvāra
nishān kitne na.e rāstoñ kā pā.egā
maiñ apne qatl pe chīḳhā to duur duur talak
sukūt-e-dasht meñ ik irti.āsh aa.egā
kivāḌ apne isī Dar se kholte nahīñ ham
sivā havā ke unheñ kaun khaTkhaTā.egā
havā.eñ gard se har rāste ko Dhak deñgī
hamāre ba.ad koī qāfila na jā.egā
yūñhī Dubotā rahā kashtiyāñ agar sailāb
to sat.h-e-āb pe chalnā bhī aa hī jā.egā
tilism-e-koh-e-nida jab bhi TuT jaega
to karwan-e-sada bhi palaT ke aaega
khinchi rahengi saron par agar ye talwaren
mata-e-zist ka ehsas baDhta jaega
hawaen le ke uDengi to barg-e-awara
nishan kitne nae raston ka paega
main apne qatl pe chiKHa to dur dur talak
sukut-e-dasht mein ek irtiash aaega
kiwaD apne isi Dar se kholte nahin hum
siwa hawa ke unhen kaun khaTkhaTaega
hawaen gard se har raste ko Dhak dengi
hamare baad koi qafila na jaega
yunhi Dubota raha kashtiyan agar sailab
to sath-e-ab pe chalna bhi aa hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.