tilism-e-shams-o-nujum-o-qamar se guzre hain
tilism-e-shams-o-nujūm-o-qamar se guzre haiñ
dayār-e-husn kī har rahguzar se guzre haiñ
koī bhī qalb-o-nazar ko asiir kar na sakā
hazār rang ke jalve nazar se guzre haiñ
har imtihān-e-azīmat se tere dīvāne
bahut vaqār baḌe karr-o-far se guzre haiñ
Thahar ga.ī haiñ vahīñ gardisheñ zamāne kī
balā-kashān-e-mohabbat jidhar se guzre haiñ
'na.īm' jin se ibārat hai zindagī kā sukūñ
vo hādsāt bhī merī nazar se guzre haiñ
tilism-e-shams-o-nujum-o-qamar se guzre hain
dayar-e-husn ki har rahguzar se guzre hain
koi bhi qalb-o-nazar ko asir kar na saka
hazar rang ke jalwe nazar se guzre hain
har imtihan-e-azimat se tere diwane
bahut waqar baDe karr-o-far se guzre hain
Thahar gai hain wahin gardishen zamane ki
bala-kashan-e-mohabbat jidhar se guzre hain
'naim' jin se ibarat hai zindagi ka sukun
wo hadsat bhi meri nazar se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.