tilism-e-zat se bahar nikaliye
tilism-e-zāt se bāhar nikaliye
nazar ke ghaat se bāhar nikaliye
ujāle jaane kab se muntazir haiñ
añdherī raat se bāhar nikaliye
tasavvur se faqat hotā nahīñ kuchh
havā.ī baat se bāhar nikaliye
haiñ insāñ ke liye ye samm-e-qātil
burī ādāt se bāhar nikaliye
nadī naale sabhī umDe hue haiñ
bharī barsāt se bāhar nikaliye
kahīñ gum ho na jaa.eñ aap is meñ
hujūm-e-zāt se bāhar nikaliye
azāb-e-jāñ hai nā-karda gunāhī
in ilzāmāt se bāhar nikaliye
usūl-e-zindagī badlā huā hai
hasīñ lamhāt se bāhar nikaliye
badal jā.eñge roz-o-shab bhī 'siddīq'
hisār-e-zāt se bāhar nikaliye
tilism-e-zat se bahar nikaliye
nazar ke ghat se bahar nikaliye
ujale jaane kab se muntazir hain
andheri raat se bahar nikaliye
tasawwur se faqat hota nahin kuchh
hawai baat se bahar nikaliye
hain insan ke liye ye samm-e-qatil
buri aadat se bahar nikaliye
nadi nale sabhi umDe hue hain
bhari barsat se bahar nikaliye
kahin gum ho na jaen aap is mein
hujum-e-zat se bahar nikaliye
azab-e-jaan hai na-karda gunahi
in ilzamat se bahar nikaliye
usul-e-zindagi badla hua hai
hasin lamhat se bahar nikaliye
badal jaenge roz-o-shab bhi 'siddiq'
hisar-e-zat se bahar nikaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.