tilism hai ki tamasha hai kaenat uski
tilism hai ki tamāshā hai kā.enāt us kī
charāġh-e-hijr se raushan rahegī raat us kī
zamīn ho ki zamāñ sab usī ke mohre haiñ
bichhī huī hai bahut duur tak bisāt us kī
hamāre saath bhī hote haiñ tajrabe us ke
hamāre haal meñ shāmil hai vārdāt us kī
shikast o fat.h meñ kyā farq hai nahīñ ma.alūm
ye kyā ki jiit hamārī hai aur maat us kī
use ḳhamosh bhī rahnā thā ek pal ke liye
samajh sakā na koī anjuman meñ baat us kī
idhar ye niiñd udhar jāgte hue saa.e
ajiib silsila-e-ḳhvāb hai hayāt us kī
tilism hai ki tamasha hai kaenat us ki
charagh-e-hijr se raushan rahegi raat us ki
zamin ho ki zaman sab usi ke mohre hain
bichhi hui hai bahut dur tak bisat us ki
hamare sath bhi hote hain tajrabe us ke
hamare haal mein shamil hai wardat us ki
shikast o fath mein kya farq hai nahin malum
ye kya ki jit hamari hai aur mat us ki
use KHamosh bhi rahna tha ek pal ke liye
samajh saka na koi anjuman mein baat us ki
idhar ye nind udhar jagte hue sae
ajib silsila-e-KHwab hai hayat us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.