tinka tinka kanTe toDe sari raat kaTai ki
tinkā tinkā kāñTe toḌe saarī raat kaTā.ī kī
kyuuñ itnī lambī hotī hai chāñdnī raat judā.ī kī
niiñd meñ koī apne-āp se bāteñ kartā rahtā hai
kāl-kuñ.eñ meñ gūñjtī hai āvāz kisī saudā.ī kī
siine meñ dil kī aahaT jaise koī jāsūs chale
har saa.e kā pīchhā karnā aadat hai harjā.ī kī
āñkhoñ aur kānoñ meñ kuchh sannāTe se bhar jaate haiñ
kyā tum ne uḌtī dekhī hai ret kabhī tanhā.ī kī
tāroñ kī raushan fasleñ aur chāñd kī ek darāñtī thī
saahū ne girvī rakh lī thī merī raat kaTā.ī kī
tinka tinka kanTe toDe sari raat kaTai ki
kyun itni lambi hoti hai chandni raat judai ki
nind mein koi apne-ap se baaten karta rahta hai
kal-kunen mein gunjti hai aawaz kisi saudai ki
sine mein dil ki aahaT jaise koi jasus chale
har sae ka pichha karna aadat hai harjai ki
aankhon aur kanon mein kuchh sannaTe se bhar jate hain
kya tum ne uDti dekhi hai ret kabhi tanhai ki
taron ki raushan faslen aur chand ki ek daranti thi
sahu ne girwi rakh li thi meri raat kaTai ki
- Book : Yaar Julahe (Pg. 139)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.