tera aastan hai mera haram tera kucha qibla-maqam hai
tera aastan hai mera haram tera kucha qibla-maqam hai
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
tirā āstāñ hai mirā haram tirā kūcha qibla-maqām hai
tirī yaad merī namāz hai tirā ishq merā imaam hai
na rahe jo pesh-e-nigāh tū mujhe kyoñ ho sajde kī aarzū
jahāñ tū na ho mire rū-ba-rū vahāñ sajda karnā harām hai
pa.e-sajda shauq se ham-nashīñ jhukī jā rahī hai mirī jabīñ
ye dayār kaisā dayār hai ye maqām kaisā maqām hai
hai sharāb-e-ishq ajiib shai jise piije donoñ jahān meñ
na yahāñ pe piinā harām hai na vahāñ pe piinā harām hai
maiñ muqīm-e-kūcha-e-yār huuñ jo haiñ dair-o-ka.aba to kyā karūñ
dar-e-yār se hai ġharaz mujhe dar-e-yār se mujhe kaam hai
yūñhī 'purnam' aañsū bahā.e jā yūñhī ro ke yaar manā.e jā
ki pasand us ko isī tarah tire dard-e-dil kā payām hai
tera aastan hai mera haram tera kucha qibla-maqam hai
teri yaad meri namaz hai tera ishq mera imam hai
na rahe jo pesh-e-nigah tu mujhe kyon ho sajde ki aarzu
jahan tu na ho mere ru-ba-ru wahan sajda karna haram hai
pae-sajda shauq se ham-nashin jhuki ja rahi hai meri jabin
ye dayar kaisa dayar hai ye maqam kaisa maqam hai
hai sharab-e-ishq ajib shai jise pije donon jahan mein
na yahan pe pina haram hai na wahan pe pina haram hai
main muqim-e-kucha-e-yar hun jo hain dair-o-kaba to kya karun
dar-e-yar se hai gharaz mujhe dar-e-yar se mujhe kaam hai
yunhi 'purnam' aansu bahae ja yunhi ro ke yar manae ja
ki pasand us ko isi tarah tere dard-e-dil ka payam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.