tera be-muddaa mange dua kya
tirā be-mudda.ā māñge duā kyā
maraz hai tandurustī meñ davā kyā
kaheñ kyā kyā kiyā hai ham ne kyā kyā
tujhe ai bevafā qadr-e-vafā kyā
tabassum ho javāb-e-mudda.ā kyā
kahā kyā aap ne maiñ ne sunā kyā
kaho āḳhir zarā maiñ bhī to sun luuñ
mirī nisbat sunā hai tum ne kyā kyā
tumhārī mehrbānī hai to sab hai
mirā armān merā mudda.ā kyā
na dekheñ vo to apnā girya be-sūd
na pūchheñ vo to apnā mudda.ā kyā
chalā tū bhī jo ai dil lene vaale
hamāre paas phir baaqī rahā kyā
adā.eñ tum ko baḳhshīñ ham ko āñkheñ
karegā aur bandoñ se ḳhudā kyā
jo mujh ko aap hī dar se uThā deñ
koī rakkhe kisī kā aasrā kyā
samajhte ho jo apne-āp ko tum
use samjhegā koī dūsrā kyā
khilāte ho qasam zabt-e-fuġhāñ par
zarā socho maraz kyā hai davā kyā
mire ghar ko tum apnā ghar na samjho
to aisī mehmānī kā mazā kyā
safī' ḳhud biinī Thahre jin kā sheva
nazar aa.egā un ko dūsrā kyā
tera be-muddaa mange dua kya
maraz hai tandurusti mein dawa kya
kahen kya kya kiya hai hum ne kya kya
tujhe ai bewafa qadr-e-wafa kya
tabassum ho jawab-e-muddaa kya
kaha kya aap ne main ne suna kya
kaho aaKHir zara main bhi to sun lun
meri nisbat suna hai tum ne kya kya
tumhaari mehrbani hai to sab hai
mera arman mera muddaa kya
na dekhen wo to apna girya be-sud
na puchhen wo to apna muddaa kya
chala tu bhi jo ai dil lene wale
hamare pas phir baqi raha kya
adaen tum ko baKHshin hum ko aankhen
karega aur bandon se KHuda kya
jo mujh ko aap hi dar se uTha den
koi rakkhe kisi ka aasra kya
samajhte ho jo apne-ap ko tum
use samjhega koi dusra kya
khilate ho qasam zabt-e-fughan par
zara socho maraz kya hai dawa kya
mere ghar ko tum apna ghar na samjho
to aisi mehmani ka maza kya
safi' KHud bini Thahre jin ka shewa
nazar aaega un ko dusra kya
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 64)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.