tera dast-e-sitam hai aur main hun
tera dast-e-sitam hai aur main hun
Qazi Mustaqiimuddiin Sahar
MORE BYQazi Mustaqiimuddiin Sahar
tirā dast-e-sitam hai aur maiñ huuñ
mirā chhoTā sā dam hai aur maiñ huuñ
ye duniyā hai alam hai aur maiñ huuñ
tirī teġh-e-sitam hai aur maiñ huuñ
mire apne nahīñ haiñ aaj apne
yahī to ek ġham hai aur maiñ huuñ
ḳhudā jaane kahāñ le jaa.e vahshat
tirā naqsh-e-qadam hai aur maiñ huuñ
mujhe manzūr hai har baat terī
sar-e-taslīm ḳham hai aur maiñ huuñ
udhar ḳhushiyoñ ke nazzāre haiñ tum ho
idhar ranj-o-alam hai aur maiñ huuñ
musībat meñ bhī hai yak-gūna rāhat
bahut us kā karam hai aur maiñ huuñ
masarrat kī sahar dekhī nahīñ hai
musalsal shām-e-ġham hai aur maiñ huuñ
tera dast-e-sitam hai aur main hun
mera chhoTa sa dam hai aur main hun
ye duniya hai alam hai aur main hun
teri tegh-e-sitam hai aur main hun
mere apne nahin hain aaj apne
yahi to ek gham hai aur main hun
KHuda jaane kahan le jae wahshat
tera naqsh-e-qadam hai aur main hun
mujhe manzur hai har baat teri
sar-e-taslim KHam hai aur main hun
udhar KHushiyon ke nazzare hain tum ho
idhar ranj-o-alam hai aur main hun
musibat mein bhi hai yak-guna rahat
bahut us ka karam hai aur main hun
masarrat ki sahar dekhi nahin hai
musalsal sham-e-gham hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.