tera firaq muqaddar samajh liya humne
tera firaq muqaddar samajh liya humne
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
tirā firāq muqaddar samajh liyā ham ne
ab apne-āp ko patthar samajh liyā ham ne
tumhārī yaad ke palkoñ pe ashk raushan the
añdherī shab ko munavvar samajh liyā ham ne
ye ḳhud-farebī nahīñ hai to aur kyā kahiye
har ek saa.e ko paikar samajh liyā ham ne
sipurd kar diye saare huqūq rahzan ko
ye kis zalīl ko rahbar samajh liyā ham ne
tamām jism thakāvaT se chuur chuur huā
tab is zamīn ko bistar samajh liyā ham ne
hamārī bhuul thī qad meñ bahut jo chhoTe the
unheñ bhī qad ke barābar samajh liyā ham ne
vo jis ne jaan aziyyat meñ Daal dī 'mashkūr'
use hī jaan se baḌh kar samajh liyā ham ne
tera firaq muqaddar samajh liya hum ne
ab apne-ap ko patthar samajh liya hum ne
tumhaari yaad ke palkon pe ashk raushan the
andheri shab ko munawwar samajh liya hum ne
ye KHud-farebi nahin hai to aur kya kahiye
har ek sae ko paikar samajh liya hum ne
sipurd kar diye sare huquq rahzan ko
ye kis zalil ko rahbar samajh liya hum ne
tamam jism thakawaT se chur chur hua
tab is zamin ko bistar samajh liya hum ne
hamari bhul thi qad mein bahut jo chhoTe the
unhen bhi qad ke barabar samajh liya hum ne
wo jis ne jaan aziyyat mein Dal di 'mashkur'
use hi jaan se baDh kar samajh liya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.