tera gham ashk ban kar aa gaya hai
tirā ġham ashk ban kar aa gayā hai
ki phir aage samundar aa gayā hai
ba-zāhir ḳhushk-sālī hai gharoñ par
magar sailāb andar aa gayā hai
nayā paiġhām shīshe par likhūñgā
ki mere haath patthar aa gayā hai
sahārā kyā diyā girte makāñ ko
ki malba mere uupar aa gayā hai
yahāñ par bhī vahī sahrā hai 'rāhat'
maiñ samjhā thā mirā ghar aa gayā hai
tera gham ashk ban kar aa gaya hai
ki phir aage samundar aa gaya hai
ba-zahir KHushk-sali hai gharon par
magar sailab andar aa gaya hai
naya paigham shishe par likhunga
ki mere hath patthar aa gaya hai
sahaara kya diya girte makan ko
ki malba mere upar aa gaya hai
yahan par bhi wahi sahra hai 'rahat'
main samjha tha mera ghar aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.