tera ghurur-e-abas intihai sath pe hai
tirā ġhurūr-e-abas intihā.ī sat.h pe hai
bulandī par bhī vahī hai jo khaa.ī sat.h pe hai
phalāñg saktā huuñ jitnā hai do diloñ ke beach
magar jo fāsla juġhrāfiyā.ī sat.h pe hai
mujhe nahīñ hai zarā rañj tah-nashīnī kā
mujhe ḳhushī hai chalo merā bhaa.ī sat.h pe hai
ham aise dekhne vāloñ kā koī dosh nahīñ
ki zer-e-sat.h kasāfat safā.ī sat.h pe hai
ye kis hunar se kiyā tum ne ḳhud ko sair ai dost
ki duudh pī bhī liyā aur malā.ī sat.h pe hai
tera ghurur-e-abas intihai sath pe hai
bulandi par bhi wahi hai jo khai sath pe hai
phalang sakta hun jitna hai do dilon ke beach
magar jo fasla jughrafiyai sath pe hai
mujhe nahin hai zara ranj tah-nashini ka
mujhe KHushi hai chalo mera bhai sath pe hai
hum aise dekhne walon ka koi dosh nahin
ki zer-e-sath kasafat safai sath pe hai
ye kis hunar se kiya tum ne KHud ko sair ai dost
ki dudh pi bhi liya aur malai sath pe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.