tirā ham ne jis ko talabgār dekhā
use apnī hastī se be-zār dekhā
adā hī kī hasrat meñ sab mar ga.e sach
tajallī ko kis ne ba-takrār dekhā
tirī aañkh bhar jis ne tasvīr dekhī
vo tasvīr sā naqsh-e-dīvār dekhā
ajab kuchh zamāne kī hai rasm yaaro
jo hai kaam kā us ko bekār dekhā
va-lekin achambhā baḌā mujh ko ye hai
ki Tuk 'soz' kā garm bāzār dekhā
tera hum ne jis ko talabgar dekha
use apni hasti se be-zar dekha
ada hi ki hasrat mein sab mar gae sach
tajalli ko kis ne ba-takrar dekha
teri aankh bhar jis ne taswir dekhi
wo taswir sa naqsh-e-diwar dekha
ajab kuchh zamane ki hai rasm yaro
jo hai kaam ka us ko bekar dekha
wa-lekin achambha baDa mujh ko ye hai
ki Tuk 'soz' ka garm bazar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.