tera husn koi tilism hai to qubul dil ka payam kar
tirā husn koī tilism hai to qubūl dil kā payām kar
jise chāhe apnā aziiz rakh jise chāhe apnā ġhulām kar
mire dil-kushā mire dil-nashīñ mire ham-navā mire ham-nashīñ
mire dil meñ pal ko Thahar kabhī kisī shaam is meñ qiyām kar
kabhī niiñd kī tū kitāb meñ kisī roz aa mire ḳhvāb meñ
mirī ḳhāmushī se kalām kar koī guftugū mire naam kar
baḌī paak hai mirī āshiqī na havas kī hai ise tishnagī
na sharāb-e-husn pilā mujhe mire naam diid kā jaam kar
ye libās-e-hijr utaar kar tū libās-e-vasl pahan kabhī
na ḳhusūf ho na amaas ho vo visāl māh-e-tamām kar
tera husn koi tilism hai to qubul dil ka payam kar
jise chahe apna aziz rakh jise chahe apna ghulam kar
mere dil-kusha mere dil-nashin mere ham-nawa mere ham-nashin
mere dil mein pal ko Thahar kabhi kisi sham is mein qiyam kar
kabhi nind ki tu kitab mein kisi roz aa mere KHwab mein
meri KHamushi se kalam kar koi guftugu mere nam kar
baDi pak hai meri aashiqi na hawas ki hai ise tishnagi
na sharab-e-husn pila mujhe mere nam did ka jam kar
ye libas-e-hijr utar kar tu libas-e-wasl pahan kabhi
na KHusuf ho na amas ho wo visal mah-e-tamam kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.