tera karam ki main jab mat tak pahunch jata
tirā karam ki maiñ jab maat tak pahuñch jaatā
to koī haath mire haath tak pahuñch jaatā
maiñ us kī bazm meñ chup-chāp hī rahā kartā
magar vo phir bhī mirī baat tak pahuñch jaatā
maiñ bhāv-tāv agar kartā to vo ḳhvāb-farosh
qayās hai mirī auqāt tak pahuñch jaatā
agar na miltā mujhe shaam māh-e-āvāra
yaqīn maano maiñ ghar raat tak pahuñch jaatā
maiñ apne bhaa.ī ko pardes kyuuñ bulātā 'aqīl'
vo is tarah mire hālāt tak pahuñch jaatā
tera karam ki main jab mat tak pahunch jata
to koi hath mere hath tak pahunch jata
main us ki bazm mein chup-chap hi raha karta
magar wo phir bhi meri baat tak pahunch jata
main bhaw-taw agar karta to wo KHwab-farosh
qayas hai meri auqat tak pahunch jata
agar na milta mujhe sham mah-e-awara
yaqin mano main ghar raat tak pahunch jata
main apne bhai ko pardes kyun bulata 'aqil'
wo is tarah mere haalat tak pahunch jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.