tera KHayal faqat mera aaina kyon hai
tirā ḳhayāl faqat merā aa.ina kyoñ hai
tū hī batā mirī fitrat meñ ye vafā kyoñ hai
ḳhizāñ-nasīb bahāroñ kā silsila kyoñ hai
hamāre saath hī āḳhir ye hādisa kyoñ hai
amīr-e-shahr se har aadmī hai ham-āhang
ġharīb-e-shahr magar itnā be-navā kyoñ hai
har ek lamha dikhā.egā dard kī tasvīr
ga.e zamāne kī jānib tū dekhtā kyoñ hai
agarche jhuuT hī me'yār-e-sidq Thahrā hai
to phir ye sach ke ḳhudāoñ ko pūjtā kyoñ hai
ḳhud apne aap ko tū ne bikher rakkhā thā
ab apne aap ko āḳhir sameTā kyoñ hai
vo jin kā zikr bhī tauhīn-e-ādamiyyat thā
ab aise ḳhāk-nashīnoñ kā tazkira kyoñ hai
hameñ pata hai ki kyā ‘arz-e-mudda'ā hogā
hamāre sāmne tamhīd bāñdhtā kyoñ hai
agar nahīñ hai asar merī āh-o-zārī meñ
sukūt-e-shab mire nāloñ se TūTtā kyoñ hai
jab us se koī ta'alluq nahīñ 'azīm' to phir
hamārī samt mohabbat se dekhtā kyoñ hai
tera KHayal faqat mera aaina kyon hai
tu hi bata meri fitrat mein ye wafa kyon hai
KHizan-nasib bahaaron ka silsila kyon hai
hamare sath hi aaKHir ye hadisa kyon hai
amir-e-shahr se har aadmi hai ham-ahang
gharib-e-shahr magar itna be-nawa kyon hai
har ek lamha dikhaega dard ki taswir
gae zamane ki jaanib tu dekhta kyon hai
agarche jhuT hi me'yar-e-sidq Thahra hai
to phir ye sach ke KHudaon ko pujta kyon hai
KHud apne aap ko tu ne bikher rakkha tha
ab apne aap ko aaKHir sameTa kyon hai
wo jin ka zikr bhi tauhin-e-adamiyyat tha
ab aise KHak-nashinon ka tazkira kyon hai
hamein pata hai ki kya ‘arz-e-mudda'a hoga
hamare samne tamhid bandhta kyon hai
agar nahin hai asar meri aah-o-zari mein
sukut-e-shab mere nalon se TuTta kyon hai
jab us se koi ta'alluq nahin 'azim' to phir
hamari samt mohabbat se dekhta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.