tera kushta uThaya aqraba ne
tirā kushta uThāyā aqrabā ne
chale mahshar ko miTTī meñ dabāne
nafas gum aur suḳhan baaqī rahegā
na hogā taar aur hoñge tarāne
ḳhudā ThanDā rakhe ai sham.a tujh ko
khaḌī rotī hai bekas ke sirhāne
tire chalne se siine meñ zamīñ ke
uThā ik dard mahshar ke bahāne
hamīñ ne panja-e-dast-e-junūñ se
kiye haiñ koh kī choTī meñ shāne
tera kushta uThaya aqraba ne
chale mahshar ko miTTi mein dabane
nafas gum aur suKHan baqi rahega
na hoga tar aur honge tarane
KHuda ThanDa rakhe ai shama tujh ko
khaDi roti hai bekas ke sirhane
tere chalne se sine mein zamin ke
uTha ek dard mahshar ke bahane
hamin ne panja-e-dast-e-junun se
kiye hain koh ki choTi mein shane
- Book : Noquush (Pg. B-297 E313)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.