tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de
tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
Interesting Fact
August 1948
tirā lutf ātish-e-shauq ko had-e-zindagī se baḌhā na de
kahīñ bujh na jaa.e charāġh hī use dekh itnī havā na de
tirā ġham hai daulat-e-dil tirī use āñsuoñ meñ luTā na de
vahī aah naqd-e-hayāt hai jise lab pe lā ke gañvā na de
mirī zindagī kī haqīqatoñ ko na pūñchh aur maiñ kyā kahūñ
mirā dost aaj vahī hai jo mujhe zindagī kī duā na de
yahī zindagī ne sabaq diyā ki kabhī fareb-e-karam na khā
ye umiid rakh na kisī se tū ki miTā sake to miTā na de
mujh ġham hī de na ḳhushī sahī na karam sahī to sitam sahī
magar itnā kam bhī karam na ho ki tirā sitam bhī mazā na de
mire dil kī ḳhud ye majāl thī ki vo shām-e-ġham ko sahar kare
tirī yaad aa ke ghaḌī ghaḌī agar āñsuoñ ko hañsā na de
tire dil pe haq hai jahāñ kā bhī ye farār-e-ishq ravā nahīñ
ġham-dost ḳhuub hai jab talak ġham-e-zindagī ko bhulā na de
vo ḳhudā-e-husn hī kyuuñ na ho koī shai hai ġhairat-e-ishq bhī
jo tirī sadā pe khule na dar vo khule bhī jab to sadā na de
mire dushmanoñ ke laboñ pe thī jo hañsī vo 'mullā' ab uḌ chalī
unheñ Dar hai ab yahī ġham mirā mirī zindagī ko banā na de
tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de
kahin bujh na jae charagh hi use dekh itni hawa na de
tera gham hai daulat-e-dil teri use aansuon mein luTa na de
wahi aah naqd-e-hayat hai jise lab pe la ke ganwa na de
meri zindagi ki haqiqaton ko na punchh aur main kya kahun
mera dost aaj wahi hai jo mujhe zindagi ki dua na de
yahi zindagi ne sabaq diya ki kabhi fareb-e-karam na kha
ye umid rakh na kisi se tu ki miTa sake to miTa na de
mujh gham hi de na KHushi sahi na karam sahi to sitam sahi
magar itna kam bhi karam na ho ki tera sitam bhi maza na de
mere dil ki KHud ye majal thi ki wo sham-e-gham ko sahar kare
teri yaad aa ke ghaDi ghaDi agar aansuon ko hansa na de
tere dil pe haq hai jahan ka bhi ye farar-e-ishq rawa nahin
gham-dost KHub hai jab talak gham-e-zindagi ko bhula na de
wo KHuda-e-husn hi kyun na ho koi shai hai ghairat-e-ishq bhi
jo teri sada pe khule na dar wo khule bhi jab to sada na de
mere dushmanon ke labon pe thi jo hansi wo 'mulla' ab uD chali
unhen Dar hai ab yahi gham mera meri zindagi ko bana na de
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 327)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.