tera majaz haqiqat se ham-kanar bhi hai
tirā majāz haqīqat se ham-kanār bhī hai
jo āshkār nahīñ hai vo āshkār bhī hai
vo āb-o-gil ki navāzā hai aap ne jis ko
vahī mazār bhī hai sāhib-e-mazār bhī hai
bahār-e-‘ālam-e-jāñ tīra-ḳhāk-dāñ meñ kahāñ
tirā karam hai ki ye ḳhāk-dāñ bahār bhī hai
ye mehr-o-māh ye anjum ye kahkashāñ ye phuul
har ek tere tabassum kī yādgār bhī hai
tirā mazāq-e-mohabbat hai kufr-o-dīñ se buland
magar vo māya-e-nūr-o-matā'-e-nār bhī hai
surūr-e-majlis-e-rūhāniyāñ tire dam se
tamām ‘ālam-e-ajsām kaif-bār bhī hai
ye merī jaan ke ā.īne meñ tirī tasvīr
ye isti'āra-e-jāñ tujh se musta'ār bhī hai
ta’ayyunāt kī parvardigār-o-kHāliq hai
vo ek terī tavajjoh ki be-shumār bhī hai
sadā-e-kun-faya-kūn 'ilm se irāda hai
usī irāde pe takvīn kā madār bhī hai
sadā-e-kun-faya-kūn 'ilm se irāda hai
irāda ‘ain murīd-o-murād-e-yār bhī hai
tera majaz haqiqat se ham-kanar bhi hai
jo aashkar nahin hai wo aashkar bhi hai
wo aab-o-gil ki nawaza hai aap ne jis ko
wahi mazar bhi hai sahib-e-mazar bhi hai
bahaar-e-‘alam-e-jaan tira-KHak-dan mein kahan
tera karam hai ki ye KHak-dan bahaar bhi hai
ye mehr-o-mah ye anjum ye kahkashan ye phul
har ek tere tabassum ki yaadgar bhi hai
tera mazaq-e-mohabbat hai kufr-o-din se buland
magar wo maya-e-nur-o-mata'-e-nar bhi hai
surur-e-majlis-e-ruhaniyan tere dam se
tamam ‘alam-e-ajsam kaif-bar bhi hai
ye meri jaan ke aaine mein teri taswir
ye isti'ara-e-jaan tujh se musta'ar bhi hai
ta’ayyunat ki parwardigar-o-kHaliq hai
wo ek teri tawajjoh ki be-shumar bhi hai
sada-e-kun-faya-kun 'ilm se irada hai
usi irade pe takwin ka madar bhi hai
sada-e-kun-faya-kun 'ilm se irada hai
irada ‘ain murid-o-murad-e-yar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.