tera maqam zamane mein yun nirala tha
tirā maqām zamāne meñ yuuñ nirālā thā
ki tū hamāre liye har kisī se a.alā thā
kisī ne ḳhvāb se mujh ko jagā diyā varna
maiñ apne aap se aage nikalne vaalā thā
bahut ġharīb the kachchā makān chhappar thā
ki phir bhī abbā ne nāzoñ se ham ko paalā thā
mujhe pata thā maiñ terī hatheliyoñ meñ huuñ
tirī ḳhushī ke liye toss phir uchhālā thā
vo kah rahā thā ki mahbūb kyoñ nahīñ us meñ
phir us ne ġhusse meñ ā.īna toḌ Daalā thā
tera maqam zamane mein yun nirala tha
ki tu hamare liye har kisi se aala tha
kisi ne KHwab se mujh ko jaga diya warna
main apne aap se aage nikalne wala tha
bahut gharib the kachcha makan chhappar tha
ki phir bhi abba ne nazon se hum ko pala tha
mujhe pata tha main teri hatheliyon mein hun
teri KHushi ke liye toss phir uchhaala tha
wo kah raha tha ki mahbub kyon nahin us mein
phir us ne ghusse mein aaina toD Dala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.