tera miTna dil-e-nashad bahut yaad aaya
tirā miTnā dil-e-nāshād bahut yaad aaya
ye samāñ raat bahut yaad bahut yaad aaya
aaj ḳhushbū-e-gulistāñ jo gulistāñ se chalī
vo jo thā ik dil-e-barbād bahut yaad aaya
dekh kar aaj hasīnoñ kī ināyat kā rang
mujh ko apnā sitam-ījād bahut yaad aaya
zindagī aaj ḳhudā jaane kidhar se guzrī
gum jo muddat se thā 'āzād' bahut yaad aaya
tera miTna dil-e-nashad bahut yaad aaya
ye saman raat bahut yaad bahut yaad aaya
aaj KHushbu-e-gulistan jo gulistan se chali
wo jo tha ek dil-e-barbaad bahut yaad aaya
dekh kar aaj hasinon ki inayat ka rang
mujh ko apna sitam-ijad bahut yaad aaya
zindagi aaj KHuda jaane kidhar se guzri
gum jo muddat se tha 'azad' bahut yaad aaya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 183)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.