tera nasib banun teri chahaton mein rahun
tirā nasīb banūñ terī chāhatoñ meñ rahūñ
tamām umr mohabbat kī vahshatoñ meñ rahūñ
ḳhumār hasrat-e-dīdār meñ rahūñ har dam
savād-e-ishq yūñhī terī shiddatoñ meñ rahūñ
ye zindagī kī harārat tire sabab se hai
maiñ lamha lamha junūñ kī tamāzatoñ meñ rahūñ
ye ehtimām-e-shab-o-roz ho mirī ḳhātir
tire ḳhayāl kī rañgīn ḳhalvatoñ meñ rahūñ
sañvārtī haiñ sadā jis kī chāhateñ mujh ko
mirī duā hai ki maiñ us kī hasratoñ meñ rahūñ
ai abr-e-vasl baras aur khul ke mujh pe baras
maiñ bhīgī bhīgī havā kī sharāratoñ meñ rahūñ
sharīk-e-shauq-e-safar hai agar vo merā 'nāz'
maiñ kyuuñ na mausam-e-gul kī bashāratoñ meñ rahūñ
tera nasib banun teri chahaton mein rahun
tamam umr mohabbat ki wahshaton mein rahun
KHumar hasrat-e-didar mein rahun har dam
sawad-e-ishq yunhi teri shiddaton mein rahun
ye zindagi ki hararat tere sabab se hai
main lamha lamha junun ki tamazaton mein rahun
ye ehtimam-e-shab-o-roz ho meri KHatir
tere KHayal ki rangin KHalwaton mein rahun
sanwarti hain sada jis ki chahaten mujh ko
meri dua hai ki main us ki hasraton mein rahun
ai abr-e-wasl baras aur khul ke mujh pe baras
main bhigi bhigi hawa ki shararaton mein rahun
sharik-e-shauq-e-safar hai agar wo mera 'naz'
main kyun na mausam-e-gul ki bashaaraton mein rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.