tera nishana hun main tir ban ke mujh mein aa
tirā nishāna huuñ maiñ tiir ban ke mujh meñ aa
maiñ ik frame huuñ tasvīr ban ke mujh meñ aa
bahut dinoñ se ḳhushī kī talāsh meñ huuñ maiñ
tū koī hādisa dil-gīr ban ke mujh meñ aa
maiñ koshisheñ to agar chāhūñ kar hī saktā huuñ
mirī tamanna hai taqdīr ban ke mujh meñ aa
mirā darūn bhī pheñkā huā hai yūsuf sā
kisī taraf se koī 'iir ban ke mujh meñ aa
guzishta ahd meñ rūmān likh chukā huuñ bahut
tū raqs chhoḌ de zanjīr ban ke mujh meñ aa
maiñ ishq-khel kī shakleñ badalne vaalā huuñ
shikārī ab ke tū naḳhchīr ban ke mujh meñ aa
javān kar isī punjab kī rivāyat ko
chanāb chaḌhtā hai to hiir ban ke mujh meñ aa
saqīl lafzoñ meñ likhtā huuñ maiñ ġhazal aksar
maiñ 'saudā' bantā huuñ tū 'mīr' ban ke mujh meñ aa
tera nishana hun main tir ban ke mujh mein aa
main ek frame hun taswir ban ke mujh mein aa
bahut dinon se KHushi ki talash mein hun main
tu koi hadisa dil-gir ban ke mujh mein aa
main koshishen to agar chahun kar hi sakta hun
meri tamanna hai taqdir ban ke mujh mein aa
mera darun bhi phenka hua hai yusuf sa
kisi taraf se koi 'ir ban ke mujh mein aa
guzishta ahd mein ruman likh chuka hun bahut
tu raqs chhoD de zanjir ban ke mujh mein aa
main ishq-khel ki shaklen badalne wala hun
shikari ab ke tu naKHchir ban ke mujh mein aa
jawan kar isi punjab ki riwayat ko
chanab chaDhta hai to hir ban ke mujh mein aa
saqil lafzon mein likhta hun main ghazal aksar
main 'sauda' banta hun tu 'mir' ban ke mujh mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.