tera pyar ya phir qaza chahta hun
tirā pyaar yā phir qazā chāhtā huuñ
maiñ apne maraz kī davā chāhtā huuñ
sunā hai ki us kī adā hai nirālī
maiñ us kī adā dekhnā chāhtā huuñ
sitam bhī hai achchhā tirā ai sitamgar
tirā ye karam bārhā chāhtā huuñ
banā le tū mujh ko asīr-e-mohabbat
mohabbat kī maiñ ye sazā chāhtā huuñ
mujhe bhī ḳhabar hai tū kyā chāhtī hai
tujhe bhī ḳhabar hai maiñ kyā chāhtā huuñ
tera pyar ya phir qaza chahta hun
main apne maraz ki dawa chahta hun
suna hai ki us ki ada hai nirali
main us ki ada dekhna chahta hun
sitam bhi hai achchha tera ai sitamgar
tera ye karam barha chahta hun
bana le tu mujh ko asir-e-mohabbat
mohabbat ki main ye saza chahta hun
mujhe bhi KHabar hai tu kya chahti hai
tujhe bhi KHabar hai main kya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.