tera qusur nahin dost bewafa hona
tirā qusūr nahīñ dost bevafā honā
mire nasīb meñ likkhā thā ġham-zada honā
ajab nahīñ hai kahīñ koī hādisa honā
zamāna chāhtā hai kuchh na kuchh nayā honā
tirī ḳhamoshī bhī mujh ko aziiz hai lekin
tū dekh merī mohabbat kī intihā honā
vo chāhtā hī nahīñ bevafā zamāne meñ
mere laboñ pe kisī taur iltijā honā
dhaḌak rahā hai mire dil meñ vo hamesha se
use qubūl nahīñ merā devtā honā
charāġh-e-ishq bujhā hai na bujh sakegā kabhī
zamāne dekh havā kā terī havā honā
ye fāsle kī alāmat hai darmiyāñ apne
jo baat baat pe ho jaa.e faisla honā
nazar nazar pe lage haiñ fareb ke parde
bahut zarūrī hai chehre kā aa.ina honā
badalte daur meñ ab to bahut hī mushkil hai
'zahīn' dil kā kisī dil se āshnā honā
tera qusur nahin dost bewafa hona
mere nasib mein likkha tha gham-zada hona
ajab nahin hai kahin koi hadisa hona
zamana chahta hai kuchh na kuchh naya hona
teri KHamoshi bhi mujh ko aziz hai lekin
tu dekh meri mohabbat ki intiha hona
wo chahta hi nahin bewafa zamane mein
mere labon pe kisi taur iltija hona
dhaDak raha hai mere dil mein wo hamesha se
use qubul nahin mera dewta hona
charagh-e-ishq bujha hai na bujh sakega kabhi
zamane dekh hawa ka teri hawa hona
ye fasle ki alamat hai darmiyan apne
jo baat baat pe ho jae faisla hona
nazar nazar pe lage hain fareb ke parde
bahut zaruri hai chehre ka aaina hona
badalte daur mein ab to bahut hi mushkil hai
'zahin' dil ka kisi dil se aashna hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.