tirā rasta badalnā dekhte haiñ
so dariyā kā utarnā dekhte haiñ
tumhārī aañkh merā aa.ina hai
so tum meñ ham zamāna dekhte haiñ
tirī āñkhoñ meñ hairat thī namī thī
vo kaisā thā fasāna dekhte haiñ
paḌāv dāstāñ meñ aa gayā ye
koī kuTiyā Thikāna dekhte haiñ
tumheñ ranjish malāl-e-ishq hai gar
chalo phir sochnā kyā dekhte haiñ
atā-e-ishq hai ye dard hamdam
ḳhushī ko be-Thikāna dekhte haiñ
tera rasta badalna dekhte hain
so dariya ka utarna dekhte hain
tumhaari aankh mera aaina hai
so tum mein hum zamana dekhte hain
teri aankhon mein hairat thi nami thi
wo kaisa tha fasana dekhte hain
paDaw dastan mein aa gaya ye
koi kuTiya Thikana dekhte hain
tumhein ranjish malal-e-ishq hai gar
chalo phir sochna kya dekhte hain
ata-e-ishq hai ye dard hamdam
KHushi ko be-Thikana dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.