tera sath paen kahan ye khule par
tirā saath paa.eñ kahāñ ye khule par
tire aur mire darmiyāñ ye khule par
falak-zā.ida chhāñv marne lagī hai
simaTtā huā sā.ebāñ ye khule par
tilismoñ kī maarī bhaTaktī nigāheñ
bhalā phir simaTte kahāñ ye khule par
mirī aañkh sahrā bikharte butoñ kā
dishāoñ ke nauha-kunāñ ye khule par
maiñ barg-e-shikasta huuñ dast-e-havā par
faqat merā vahm-o-gumāñ ye khule par
mirī manzileñ zer-e-āb aa chukī haiñ
le ab noch le āsmāñ ye khule par
tera sath paen kahan ye khule par
tere aur mere darmiyan ye khule par
falak-zaida chhanw marne lagi hai
simaTta hua saeban ye khule par
tilismon ki mari bhaTakti nigahen
bhala phir simaTte kahan ye khule par
meri aankh sahra bikharte buton ka
dishaon ke nauha-kunan ye khule par
main barg-e-shikasta hun dast-e-hawa par
faqat mera wahm-o-guman ye khule par
meri manzilen zer-e-ab aa chuki hain
le ab noch le aasman ye khule par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.