tera tazkira su-ba-su kyun karen hum
tirā tazkira sū-ba-sū kyuuñ kareñ ham
mohabbat ko be-ābrū kyuuñ kareñ ham
likhī hai muqaddar meñ nā-kāmyābī
kareñ to ġham-e-ārzū kyuuñ kareñ ham
agar rañg-o-bū is chaman kā hai faanī
nazar mā.il-e-rañg-o-bū kyuuñ kareñ ham
hasīnoñ kā pās-e-vafā ġhair-mumkin
hasīnoñ se ye aarzū kyuuñ kareñ ham
adāvat hī jab hāsil-e-dostī hai
mohabbat kī phir aarzū kyuuñ kareñ ham
kareñ kyuuñ tumhāre sitam kī shikāyat
mohabbat ko be-ābrū kyuuñ kareñ ham
agar 'shād' ham ḳhud hī kho.e hue haiñ
kisī aur kī justujū kyuuñ kareñ ham
tera tazkira su-ba-su kyun karen hum
mohabbat ko be-abru kyun karen hum
likhi hai muqaddar mein na-kaamyabi
karen to gham-e-arzu kyun karen hum
agar rang-o-bu is chaman ka hai fani
nazar mail-e-rang-o-bu kyun karen hum
hasinon ka pas-e-wafa ghair-mumkin
hasinon se ye aarzu kyun karen hum
adawat hi jab hasil-e-dosti hai
mohabbat ki phir aarzu kyun karen hum
karen kyun tumhaare sitam ki shikayat
mohabbat ko be-abru kyun karen hum
agar 'shad' hum KHud hi khoe hue hain
kisi aur ki justuju kyun karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.