tera visal hai behtar ki tera kho jaana
tirā visāl hai behtar ki terā kho jaanā
na jāgnā hī mayassar mujhe na so jaanā
ye sab fareb hai maiñ kyā huuñ merī chāhat kyā
jo ho sake to mirī tarah tū bhī ho jaanā
hañsī meñ zaḳhm chhupāne kā fan bhī zinda hai
isī ḳhayāl se sīkhā na maiñ ne ro jaanā
udaas shahr meñ zinda-dilī kī qīmat kyā
bajā hai merī hañsī kā ġhubār ho jaanā
hasīn tujh se ziyāda bhī haiñ zamāne meñ
burā hai aañkh kā pāband-e-rañg ho jaanā
tera visal hai behtar ki tera kho jaana
na jagna hi mayassar mujhe na so jaana
ye sab fareb hai main kya hun meri chahat kya
jo ho sake to meri tarah tu bhi ho jaana
hansi mein zaKHm chhupane ka fan bhi zinda hai
isi KHayal se sikha na main ne ro jaana
udas shahr mein zinda-dili ki qimat kya
baja hai meri hansi ka ghubar ho jaana
hasin tujh se ziyaada bhi hain zamane mein
bura hai aankh ka paband-e-rang ho jaana
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 184)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.