tirchhi nazar ke war chale
tirchhī nazar ke vaar chale
dil vaale dil haar chale
ghar na chale ik nafrat se
ulfat se sansār chale
chāhat kī baisākhī par
nafrat ke bīmār chale
dost jo bāġhī ho jaa.eñ
dushman par kyā vaar chale
tum hī nafrat vaalo batāo
kab tak ye takrār chale
biich bhañvar meñ kashtī-e-dil
kaise bin patvār chale
jaate jaate kahiye 'majāz'
kyā jiite kyā haar chale
tirchhi nazar ke war chale
dil wale dil haar chale
ghar na chale ek nafrat se
ulfat se sansar chale
chahat ki baisakhi par
nafrat ke bimar chale
dost jo baghi ho jaen
dushman par kya war chale
tum hi nafrat walo batao
kab tak ye takrar chale
bich bhanwar mein kashti-e-dil
kaise bin patwar chale
jate jate kahiye 'majaz'
kya jite kya haar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.