tere aane ki mujhe chah piya
tire aane kī mujhe chaah piyā
dil-o-jāñ hai chashm-ba-rāh piyā
sab ishq-faqīr tire dar ke
tū ek akelā shaah piyā
ham ḳhāk-nashīnoñ ke dam se
ābād tirī dargāh piyā
tasdīq to kar mujhe milne kī
aa puurī kar afvāh piyā
mirā saarā zahr fanā kar de
tirī mīThī ek nigāh piyā
ta.abīr ke ḳhanjar tez bahut
hai zaḳhmī ḳhvāb-sipāh piyā
sab samteñ terī samteñ haiñ
har raah hai terī raah piyā
ye kam-ilmā be-hunrā hai
'arshad' se aap nibāh piyā
tere aane ki mujhe chah piya
dil-o-jaan hai chashm-ba-rah piya
sab ishq-faqir tere dar ke
tu ek akela shah piya
hum KHak-nashinon ke dam se
aabaad teri dargah piya
tasdiq to kar mujhe milne ki
aa puri kar afwah piya
mera sara zahr fana kar de
teri miThi ek nigah piya
tabir ke KHanjar tez bahut
hai zaKHmi KHwab-sipah piya
sab samten teri samten hain
har rah hai teri rah piya
ye kam-ilma be-hunra hai
'arshad' se aap nibah piya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.