tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa
tire aks se mirī zaat meñ hai latīf hijr-o-visāl sā
dam-e-sub.h koī umang sī sar-e-shām koī malāl sā
tirī bū-e-ḳhush ke surūr se tirī raushnī ke vafūr se
mire nain gahre siyāh se mirā rang surḳh gulāl sā
magar āgahī kī talab se hai hama-vaqt nok-e-zabān par
koī lafz lafz-e-gumān sā koī harf harf-e-savāl sā
jise zindagī ke rafū libās ke saare baḳhiye qubūl haiñ
use phir labāda qazā kā bhī huā narm reshoñ kī shaal sā
chalo DhūñDeñ shahar-e-numūd meñ koī shaḳhs paikar-e-zindagī
koī dostī kī nazīr sā koī dilbarī kī misāl sā
mirā intiqām bhī harf haiñ mirā ehtimām bhī harf haiñ
kabhī giit giit tarañg sī kabhī she'r she'r vabāl sā
tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa
dam-e-subh koi umang si sar-e-sham koi malal sa
teri bu-e-KHush ke surur se teri raushni ke wafur se
mere nain gahre siyah se mera rang surKH gulal sa
magar aagahi ki talab se hai hama-waqt nok-e-zaban par
koi lafz lafz-e-guman sa koi harf harf-e-sawal sa
jise zindagi ke rafu libas ke sare baKHiye qubul hain
use phir labaada qaza ka bhi hua narm reshon ki shaal sa
chalo DhunDen shahar-e-numud mein koi shaKHs paikar-e-zindagi
koi dosti ki nazir sa koi dilbari ki misal sa
mera intiqam bhi harf hain mera ehtimam bhi harf hain
kabhi git git tarang si kabhi she'r she'r wabaal sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.