tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan
tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan
Arif Abdul Mateen
MORE BYArif Abdul Mateen
tire bāzuoñ kā sahārā to le luuñ magar in meñ bhī rach ga.ī hai thakan
maiñ sahrā se bach kar chaman meñ to aa.uuñ pa sahrā se kuchh kam nahīñ ye chaman
mirī ziist kī raah tārīk thī chāñd ban kar tum aa.e to raushan huī
ye rah aaj phir tīra-o-tār hai ġhāliban chāñd ko lag gayā hai gahan
har ik samt nāgin kī sūrat lapaktī huī tīrgī se hirāsāñ na ho
ajab kyā ki lau de uThe mere lams-e-farozāñ se terā sulagtā badan
ye ashkoñ se bhīgī huī muskurāhaT muravvat kā e.ajāz hai varna ham
ġhamoñ kī havāoñ meñ uḌtā huā dekh kar aa rahe haiñ koī pairahan
firāq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hī paa.ī hai ahl-e-vafā kī taḌap
tum āġhosh ke tañg halqe meñ ho phir bhī har lamha afzūñ hai dil kī jalan
mire pyaar ko ik na.e moḌ par dekh kar yuuñ mirī jaañ ta.ajjub na kar
badalte rahe haiñ badalte raheñge zamāne ke hamrāh dil ke chalan
tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan
main sahra se bach kar chaman mein to aaun pa sahra se kuchh kam nahin ye chaman
meri zist ki rah tarik thi chand ban kar tum aae to raushan hui
ye rah aaj phir tira-o-tar hai ghaaliban chand ko lag gaya hai gahan
har ek samt nagin ki surat lapakti hui tirgi se hirasan na ho
ajab kya ki lau de uThe mere lams-e-farozan se tera sulagta badan
ye ashkon se bhigi hui muskurahaT murawwat ka eajaz hai warna hum
ghamon ki hawaon mein uDta hua dekh kar aa rahe hain koi pairahan
firaq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hi pai hai ahl-e-wafa ki taDap
tum aaghosh ke tang halqe mein ho phir bhi har lamha afzun hai dil ki jalan
mere pyar ko ek nae moD par dekh kar yun meri jaan tajjub na kar
badalte rahe hain badalte rahenge zamane ke hamrah dil ke chalan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.